Duaon Ki Qaboliyat Aur Rizq-e-Halal Kamana

 Duaon Ki Qaboliyat Aur Rizq-e-Halal Kamana

 Duaon ki qaboliyat r Rizq-e-Halal kamane ka apas men bht gehra taluq hota ha .Halal rizq kamana Allah ki bht bari ni'mat ha .

    Sirf paisa kama lena hi zroori nh hota balke us ka halal hona r halal tareeqay sy kamana bht ahm hota ha .Insaan apni zindagi ka bht sa hissa rizq kamane men hi sarf kr deta ha is liye rizq ka pak r halal hona bht zaroori ha .

Allah Pak ny halal rizq r dua ka zikar Quran-e-pak men b farmaya ha .

Ayat (Surah Al-Mu’minoon: 51):

يَا أَيُّهَا الرُّسُلُ كُلُوا مِنَ الطَّيِّبَاتِ وَاعْمَلُوا صَالِحًا ۖ إِنِّي بِمَا تَعْمَلُونَ عَلِيمٌ

"Ay Rasulo ! Pakiza cheezen khao r naik amal kro , beshak men tmhare a'maal sy khoob waqif hn."
   
 
  •    Rizq-e-Halal par Dua ka asar 
       Allah pak ny Quran men famaya k
   "Ae imaan walo ! jo pakiza cheezen hm ny tmhen ata ke hen un men sy khao , aur Allah ka shukr ada kro agr tm usi ki ibadat krty ho."
          is se maloom hota ha k duaon k halal rizq ka apas men gehra taluq ha .duaon ka asar halal rizq par zaroor parta ha.


  • Rizq-e-Halal ki ahmiyat aur faiday
     Halal Rizq sirf khanay peenay ka zariya hi nahi , balke Allah ki khushnudi b hasil hoti .jb insaan halal rizq kamane ki koshish krta ha to Allak Ta'ala us k rizq men barkat ata krta ha . ye Allah pak ki bht bari ni'mat ha aur ghr men sukoon aur zindagi ka har pehlu roshan hota ha.

     Rehmatul-lil-Alameenﷺ ka farmaan ha k
   
 "Allah Ta'ala pak ha r sirf pak r halal ko hi pasand krta ha."

    jo insaan haram kamata ha us ka libas , khana ,peena b haram ha.haram kamne waly ki dua Allah pak qabool nh krty.r halal kamany waly ki duaen b suni jati hen r us k Rizq men barkat hoti ha.

  •  Dua aur Barkat
 Rizq-e-halal k liye mangi gayi duaen Allah pak k hazur bht khas hoti hen .kun k wo Allah pak ki khushnudi ki khatir halal rizq kamany k liye mangi jati hen .
   Allah pak un duaon ko na sirf apni bargah men qabool-o-manzur farmata ha un men barkat r bhlai b shamil karta ha.
  •  Duaen
Halal Rizq k liye barkat wali duaen
  
"Ya Allah ! mein tujhe sy halal aur pak rizq , nafa dene wala ilm aur qabool amal ka talabgaar hn."

  " Ya Rabb ! mein har khair ka mohtaj hn jo tu mujh par nazil kare."
    
    subah shaam ye duaen parny sy Allah pak Halal rizq ata krta ha  r us men barkat b hoti ha .
   
   Nateeja
 Duaon ke zariye manga gya halal rizq na sirf barkat aur sukoon lata ha balke insaan k A'maal men b izafay ka sabab banta ha.jab insaan halal tateeqy sy rizq kamata ha to Allah pak apny bandy sy bht khush hota ha r us k liye rizq k darwazy khol deta ha .
     Allah pak hum sa  ko Rizq-e-halal kamane ki aur us par razi rehne ki toufeeq ata farmaye .Ameen.
    
    

Comments

Popular posts from this blog

Halal Tarz-e-Zindagi:Islam Mein Halal Rizq Kamany ke Asal Usool

Halal Tarz-e-Zindagi Aur Circumstances