Halal Tarz-e-Zindagi Aur Circumstances
Halal Tarz-e-Zindagi Aur Circumstances
Halal tarz-e-zindagi k aj k taiz raftar dour men sirf halal khane , halal kamai r imaandari ko hi samjha jata ha.lekin islam mein saaf ilfaaz mein bayaan kr diya gaya ha .
islam insaan ke zaati a'amal tak hi mehdood nahi balke circumstances, zameen, paani, hawa aur sab cheezon ka khayal rakhne ki talqeen b karta hai.
Aaj kal aloodagi aur zameeni hararat bht barh gaye hen.is liye islam ka tassawur aur b ehmiyat ikhtiyar kr leta ha.
- Islam Mein Safai Ka Hukam
Islam mein safai ko bht ehmiyat hasil ha.jab insaan apne aas paas k mahoul ko ,apne ghr ,gali muhallay ko saaf suthra rakhta ha to wo apne deen par amal karta ha.
Nabi pak ﷺ ne farmaya:
"Safai nisf imaan ha."
is hadees se hmen ye maloom hota ha ke safai ek achi aadat hi nahi balke imaan ka b hissa hai.
- Mahol Ke Hifazat
Zameen ko kharab krna ,mahoul ko ganda krna Allah Ta'ala ko pasand nahi.
Allah Ta'ala ne Quran mein farmaya ha ke:
"Aur Zameen mein fasad na kro jab ke Allah ne use saaf aur theek bnaya ha. ( Surah Al-A'raf : 56)
Aaj log hawa ko zehrila kr rhy hen junglon ko kaat rhy hen to asal mein ye log mahoul ko alooda kr rhe hen.Agr hm log safai ka khayal rakhte hen to ye bht faida mand ha aur Allah ka b yehi hukam ha.
- Mahoul Dost Zindagi
Mahoul se halal tour par faida uthana b halal tarz-e-zindagi ka ek ahm pehlu ha. Zameen , hawa , paani aur baqi sab cheezen Allah Ta'ala ki amanat hen.in sab cheezon ko nuqsaan pohnchana ya zaya krna bht bara gunnah ha.
islam hmein btata hai k paani ko faltu mein zaya na karo , darakht na kato, zameen ko banjar r bekaar na banao balke aur zyada darakhat lagao , paani ko bekaar mein zaya na karo .
Ek Hadees mein Rasool Allah ﷺ ne farmaya ke:
" jo shakhs koi darakhat lagata ha aur us se koi insaan ya janwar faida uthata hai to Allah use sadqa likhta ." ( Musnad Ahmad)
is hadees se sabit hota hai ke kisi insaan se dosre insaan ko faida pohnchna Allah Ta'ala ke haan bht afzal amal hai.
- Aaj Ke Dour Ki Zaroorat
Aaj kal plastic ka bht zyada istamal ho raha ha aur samundaron ko ganda kiya ja raha ha.factarioyn se dhuwan nikal raha ha jo ke hawa ko ganda kr raha ha .
fasal mein mukhtalif qisam ki adwayaat ke istamal se b Zameen bht alooda ho rahi ha.ye chemical zameen ko zehrila bna rahy hen.Halal tarz-e-zindagi ke liye insaan ko chahiye ke apni zrooriyat ko aise poora kre ke aas paas ki cheezen , insaan aur janwar mutasir na hn .yehi halal tarz-e-zindagi ka asal maqsad hai.
logon ko chahiye ke Ghr aur gali muhallay mein kachra ko koora daan mein phenken .Gandagi ko zameen par phenkane se mahoul alooda hota hai aur bht si bimariyon ke lagne ka andesha b hota hai.
Qabil-e-Amal tareeqay jin par amal kr ke apne aas paas k mahoul ko alooda hone se bachaen.
- kachra phenkne ke liye koora daan ka istamal.
- plastic ka istamal kam se kam karen.
- paani ko zaya na karen , sirf zaroorat ke wqt hi istamal karen ta k paani zaya na ho.
- Zayada se zayada darakht lagaen ye sadqa-e-jaria hai is ka faida sirf duniya mein hi nahi balke akhirat mein b hai.
Comments
Post a Comment