Halal LifeStyle Aur Social Media
Halal LifeStyle Aur Social Media
Aaj ke digital dour mein har koi social media ka istamal karta ha. Social media ke istamal se har kisi ki soch aur duniya ko dekh e ka nazriya badalta ja raha ha.
Instagram , facebook , youtube aur whatsapp jese apps ka istamal bht aam ho gya hai.Amal se hi halal lifestyle aur paak tareeqay apnaye ja sakte hein.lekin kya hm social media ka istamal kisi ache kaam k liye karte hen ya is ke istamal se kisi burrai ko ikhtyar krte hen.
Islami taleemat par amal krte howe jese duniya ke baqi kaam krne chahiye wese hi social media ka istamal b dair e islam ke andar rehte howe krna chahiye.
Islam Aur Social Media
islam men hamein har jagah imaandari , sachai aur neiki ke kaam krne ka peigham milta ha . baqi zindagi mein jese islami usoolon par amal krna zaroori hai wese hi social media ko istamal mein laate howe un usoolon ko zehen mein rakhna b intahai eham hai.
Quran o hadees mein hamein btaya gya ha ke
- Fahash qisam ka mawaad nahi phelana chahiye.
- Deeni maloomat , ilm aur sabq amooz waqiat ko dosron ke sath share krne chahiye .
- Apni kamai ke liye halal tareeqay ikhtiyar krne chahiye aur rizq kamana chahiye.
- Comments mein ghalat ilfaaz ka istamal aur nafrat phelane se bachna chahiye.
- gheebat aur buhtaan se bachna chahiye.
- ghalat baaten aur jhoot phelane se bachna chahiye.
- kisi ki izzat ko nishana nahi bnana chahiye.
Social media ka istamal kahi jagah par waqt ka zaya ha aur be-hayai ki taraf raghib karta ha, nafrat phelane ka kam b karta ha . Dosron ke barre mein ghalat baaten phelane ke liye b istamal kiya jata ha. ye insaan ki rohaani zindagi par b asar andaaz hota ha.
Halal Kamai
jis tarah asal zindagi mein mehnat kr ke halal tareeqe se rizq e halal kamaya jata hai .isi tarah social media par b halal tareeqay se kamai ki ja sakti hai.
youtube , freelancing aur business jaise zariye agr sharai usoolon ke mitabiq kiye jayen ro ye sirf kamai hi nahi balke sadqa-e-jariya ban sakte hen.lekin hamesha yaad rakhna chahiye ke haram tareeqay
behayai phelana
jhoot bol kr views lena
haram products ki promotion krna
insaan ki rozi ko na sirf haram bnate hen balke akhirat ke liye b nuqsaan deh hen.is liye hmesha koshish ktni chahiye k jitni offline kamai paak ho utni hi online kamai b paak honi chahiye.
Comments
Post a Comment