Halal Rozgar Mein sabr Aur Tawakkul

Halal Rozgar Mein Sabr Aur Tawakkul
   
    Aj kal k dour men log apni zroriyat e zindagi ko pora krny k liye har tarah ka kaam krty hen.
Islam mein hmein sirf halal tareeqe sy Rizq kamane ka hukam mila ha.Halal tareeqa apna kr hi Allah Ta'ala ke hukam par amal kiya jata ha.
      
         ye amal na sirf duniya men hi barkat ka zariya ha balke akhirat men b nijaat ka sabab banta ha.Halal rozgar ki talash mein sabr r tawakkul bhut ahmiyat rakhty hen.

Mushkilat r tangdasti k doran banda ghalat rasty na ikhtiyar kare , balke sabr kre to Allah ki madad us k sath hoti ha.
  

"Aur jo Allah par bharosa kare to wo us k liye kafiha." 
    (Surah At.Talaq , 65:3)

" Aur zameen mein koi jandar aisa nahi jis ka rizq Allah ke zimma na ho."
   ( surah Hud , 11:6)
  
in ayaat sy maloom hota ha ke har shakhs ka rizq Allah ny likh diya ha , is liye ghalat tareeqon par chalne ki zaroorat nh . Halal koshish k sath sabr aur tawakkul hi kamyab hone ka asal rasta ha.
  log samjhte hen k haram rasta ikhtiyar kr k wo zyada kamyabi hasil kr sakty hen.lekin asal men haram tareeqe sy hasil kiya howa paisa barkat sy khaali hota ha. Halal rozgar men chhoti si raqam b izzat r tassali deti ha.Halal rizq insaan k aqeede ko mazboot krta ha.
          ibadat ko roshan karta ha ghr mein izzat, barkat aur sukoon lata ha.jab banda sirf Allah par tawakkul karta ha to wo kabhi ghalat raste par nahi jata.
 
  Nateeja 
  Halal rozgar ki talash mein sabr r tawakkul se  insaan ko sirf dunyaawi kamyabi hi hasil nahi hoti balke akhirat men b surkharo krte hen.
  zahiri tour par haram kamai zyada lagti ha.lekin asal mein wo bebarkat hoti ha r insaan ki zindagi sy sukoon chheen leti ha.
is liye hmein sabr ka daman thaam kr Allah par tawakkul krte howe apni zindagi guzarni chahiye.ye hi asal kamiyabi r rizq mein barkat ka raaz ha

Comments

Popular posts from this blog

Halal Tarz-e-Zindagi:Islam Mein Halal Rizq Kamany ke Asal Usool

Duaon Ki Qaboliyat Aur Rizq-e-Halal Kamana

Halal Tarz-e-Zindagi Aur Circumstances