Islam Aur Ilm Ki Ahmiyat
Islam Aur Ilm Ki Ahmiyat
Islam ek mukammal zabta e hayat hai.Jo insaan ko kamyabi aur hidayat ka rasta dikhata ha. ilm hasil karna har musalman ka bunyadi haq hai aur insaan mein shahoor paida krta hai.
shahoor se hi insaan ko halal aur haram mein farq maloom hota hai.agr insaan ke paas ilm na ho to wo sehi aur ghalat ki kabhi pehchan nahi kr sakta.
Quran ki pehli wahi mein b ilm hasil krne ka hi peigham milta ha. jab Hazrat Jibrail A.S. ne ghar e hira mein nazil ho kr Rasool Allah ﷺ ko pehli wahi sunai thi to pehla lafz hi tha " parho". is lafz se ye sabit hota ha ke ilm hi ha jo hamein jahalat kr andheron se nikal kr roshni deta.ilm insaan ko sochane smajhne ki silahiyat deta hai aur ek behtareen insaan bnata ha.
Ilm Ki Fazilat Aur Hadees
ilm hasil krna sirf kisi khaas tabqay par farz nahi kiya gya balke har mard aur aurat ke liye ilm hasil karna zaroori qarar diya gya hai.
Nabi kareem ﷺ ne farmaya:
"ilm hasil karna har musalman mard aur aurat par farz hai." (Ibn Majah )
ilm sirf duniya ke kaam ke liye hi nahi ha balke akhirat ki kamyabi ke liye b hai.ilm ko Rasool Allahﷺ ne sadqa e jariya qarar diya ha.yeni ilm ko hasil karne ke baad dosron ko sikhana bht sawaab ka kaam hai .
Duniyawi Aur Deeni ilm
Islam mein hamein sirf deeni taleem hasil karne ka hukam hi nahi balke duniyawi taleem hasil karne ka b hukam ha.
Deeni ilm Allah Ta'ala ki pehchan krwata ha aur us ke qareeb hone mein madad deta ha.jab k duniyawi ilm zindagi chalane aur sociaty ko betareen banane ke tareeqe deta ha.
islam ye sikhata ha ke har ilm ko insaniyat ki bhalai ke liye istamal karna chahiye.ilm hi insaan ko technology , tehqiq aur science ke zariya aage bharhane mein madad krta ha.
Nateeja
islam ne ilm ko rohaani aur duniyawi kamyabi ki kunji qarar diya ha.ilm ke zariye insaan Allah Ta'ala ke qareeb hota ha , sociaty ki behtary karta ha aur apni zindagi ko halal tareeqe se guzarta ha.
har musalman ka farz ha ke ilm hasil kare.chahe deeni ho ya duniyawi kun ke dono mila kr asal me ek maqbool aur roshan zindagi dete hen.
Comments
Post a Comment