Rizq Ki Talash Mein Ikhlaqi Aqdar
Rizq Ki Talash Mein Ikhlaqi Aqdar
Rizq insaan ki zindagi ka bunyadi hissa hai. Har shakhs apne ghar walon ki zarooriyat poori karne aur behtareen zindagi guzarnay ke liye mehnat karta hai. Lekin asal sawal ye hai ke kya hum sirf paisa kamane ke peeche dour rahay hain ya phir paisa kamate waqt ikhlaqi aqdar ko bhi samajhtay hain?
Islam humein sirf halal rizq ki talash ka hukm deta hai. Sirf paisa kama lena kaafi nahi hai, balkeh paisa halal tareeqay se kamana sabse badi zimmedari hai. Nabi Pak ﷺ ne farmaya: "Halal rizq ki talash bhi ibadat hai."
Ikhlaqi Aqdar Ki Ahmiyat
Sachai aur imandari: Tijarat ya job mein sach bolna aur dhoka na dena asal imandari hai.
Mehnat aur lagan: Aasan raste ya shortcut ke bajaye mehnat se kamana barkat laata hai.
Haqooq ka khayal: Mazdoor, customer, ya saathi ka haq ada karna zaroori hai.
Haram se bachna: Soood (interest), jhoot, ya ghair sharai tareeqon se kamai hui daulat kabhi barkat wali nahi hoti.
Nateeja
Rizq sirf pait bharne ka zariya nahi, balkay insaan ki akhlaaqi pehchaan bhi hai. Jo insaan halal aur imandari se rizq kamata hai, uske ghar mein sukoon, dil mein sakoon aur aulad mein barkat hoti hai.
Comments
Post a Comment