Dua Aur Intizaar - Jab Khuda Tumhari khamoshi Ko Sun Raha Ho


 Dua Aur Intizaar - Jab Khuda Tumhari Khamoshi Ko Sun Raha Ho

Kabhi Kabhi aisa lagta hai ke ap roz dua karte hain lekin jawab nahi ata .aur dil thak sa jata hai,soch ye hoti hai ke shayad Allah ne meri dua nahi suni.lekin sach ye hai ke Allah har dua sunta hai.bas us ka waqt hamare waqt se behtareen hota hai.

Zindagi ke safar mein har koi kisi na kisi dua ke intizaar mein hota hai.kisi ko ghar chahiye , kisi ko noukari aur kisi ko sukoon.har dua ke peeche ek kahani hoti hai , ek umeed hoti hai aur ek imtehaan bhi hota hai.dua sirf lafzon ka amal nahi balke imaan ka safar bhi hai. jis mein sabse khoobsurat hissa intizaar ka hai.

Quran mein Allah Ta'ala farmata hai:

"Aur tumhara Rabb kehta hai , mujhe pukaaro , mein tumhari dua qabool karn ga." (Surah Ghafir : 60)

ye ayat hamein yaqeen dilati hai ke dua kabhi zaya nahi hoti balke sab se barri baat ye hai ke Allah kabhi dua ko radd nahi karta .hamara Rabb ya to dua ko waqt par qabool kar leta hai.ya usse behtareen waqt ke liye rok leta hai.

Allah Ta'ala usse apni hikmat aur rehmat ke nazriye se dekhta hai.Dua ka asal husan tab ubharta hai jab insaan har musibat ke duraan "Alhamdulillah" keh kar sabr karta hai.Aur jab wo waqt ata hai jab Allah us ki dua qabool karta hai, to banda samajh jata hai ke agar wo dua pehle qabool ho jati to shayad wo us ke haq mein behtareen na hoti.

Dua karne ke sath intizaar karna asaan nahi hota.dil bechain ho jata hai aur kabhi kabhi lagta hai ke sab raahein band ho gayi hain.lekin asal imaan tab samne ata hai jab banda kehta hai.

"Ya Allah , mein janta hoon tu meri dua zaroor sun raha hai .bas mujhe sabr aur yaqeen ata farma.

Dua aur intizaar zindagi ke do pehlu hain.ek umeed deta hai aur dosra imaan mazboot karta hai.har dua bandey aur Rabb ke beech ka raaz hoti hai.ek aisi guftagu jis mein lafz kam aur jazba zyada hota hai.aur intizaar asal mein ek imtehaan hai.sabr , yaqeen aur tawakkul ka.

Insaan jaldbazi karta hai lekin Allah dua ko apne waqt par hi qabool karta ha.jab wo dua hamare haq mein behtareen hoti hai to insaan seekhta hai ke sabr bhi ek ibadat hai.intizaar mein rooh ki tarbiyat hoti hai.dil Allah ke aur qareeb a jata hai.

Agr aj tak hamare koi dua qabool nahi hoi to hamein udaas hone ki bajaiye Allah par kamil yaqeen aur bharosa karna chahiye ke shayad ye waqt hamari dua qabool hone ke liye munasib nahi.

Shayad Allah Ta'ala hm se keh rahe hn ke:

"Thorra intizaar karo, mere banday - mein tumhein wohi dun ga jo tumhare liue behtareen hi ga."

Comments

Popular posts from this blog

Halal Tarz-e-Zindagi:Islam Mein Halal Rizq Kamany ke Asal Usool

Duaon Ki Qaboliyat Aur Rizq-e-Halal Kamana

Halal Tarz-e-Zindagi Aur Circumstances