Halal Amanat - Jab Koi Na Dekhe Tab Bhi Allah Dekh Raha Hai
Halal Amanat - Jab Koi Na Dekhe Tab Bhi Allah Dekh Raha Hai
Sochiye... Agr ap ko raste mein se paise milen aur koi na dekhe - to ap kya karo ge? Sawal chhota ha lekin is mein insaaniyat aur imaandari dono ka imtehaan chupa hai.Aj kal har koi faida dekh kar amal karta hai.Sachai aur halal soch bht kam ho gai hai.Ab log kehte hen ke zamana badal gaya hai.
Insaan khud badal rahe hen aur kehte hen ke zamana badal gaya hai.pehle log Allah ke khauf se jhoot nahi bolte the.kisi ka haq nahi marte the.Aj hm log har choti cheez mein faida dekhte hen - chahe us se kisi ko kitna hi nuqsaan kun na ho.
jab banda har choti choti cheezon mein Allah ka khauf rakhta ha to Allah us ke har kaam mein barkat dalta hai.Halal zindagi ka pehla qadam amanat aur imaandari se shoru hota hai.Ek mazdoor ko paise mile,"logon ne kaha ke in paison ko apne paas rakh lo,koi nahi dekhe ga. lekin us ne muskurate howe kaha,"koi nahi dekhe ga?Allah dekh raha hai." R paise wapis kar diye .yehi asal imaan hai- amal sirf Allah ke liye hona chahiye bina dikhave ke.
Aj hm logon se dharte hen aur Allah ka khauf bhool bethe hen.jab koi dekhta ha to ache kaam karte hen,warna ghalat karna aam baat lagti ha. Momin wo ha jo tanhai mein b Allah se sharmata hai.
Rasool Allahﷺ ne irshaad farmaya: "jis ke andar amanatdari nahi , us ka imaan mukammal nahi."
Agr hm har faisle mein Allah ka khauf rakhne lagain - to na dhoka ho ga aur na haram kamai.har insaan apni zindagi mein sukoon mehsoos kare ga.kun ke jab niyyat saaf hoti hai to Allah barkat dalta hai. Halal amnat sirf paise tak mehdood nahi balke har wada,har rishta , har zimmadari bhi ek amanat hai.
jab banda ye aoch kar amal karta hai ke " Muje log nahi,Allah dekh raha hai." us ki zindagi sukoon se bhar jati ha.Akhirat mein Allah sirf paise nahi balke niyyat aur imaandari bhi dekhe ga.is liye halal niyyat aur imaandari se chalne wali zindagi hi wo hai jis mein barkat bhi hai aur sukoon bhi.
Comments
Post a Comment