Halal Kamyabi - Jab Maqsad Sirf Paisa Nahi Raza-e-Ilahi ho

 Halal Kamyabi -Jab Maqsad Sirf Paisa Nahi Raza-e-Ilahi ho

Aj ke dour mein insaan kamai aur kamyabi ko sirf paison se tolte hain.jis ke paas barra ghr , ghaari aur social media par dikhawa ho use kamyab samjha jata hai.Halal kamyabi ka matalb sirf ye nahi ke ap duniya chor kar baith jaen .balke ap duniya mein reh kar bhi deen ke usoolon par amal karen.

Asal kamyabi Allah ki raza aur rohaani sukoon hai.Allah ki raza mein raazi rehte howe karobar karna , mehnat karna aur har qadam par halal aur hatam ka farq b samajhna chahiye.

Hamare pyare Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:

"Halal Rizq talash karna bhi ibadat hai."

yahan hamein ye btaya ja raha hai ke halal tareeqe se mahnat krne se sirf hm paisa hi nahi kamate balke sawab bhi kama rahe hote hain.

Halal kamyabi ka ek pehlu niyyat se b jurra hai.Niyyat achi ho to choti si mehnat b barkat wali ban jati hai.agr niyyat sirf dikhawe ya lalach ki ho to sab kch hote howe b insaan andar se khud ko khali mehsoos karta hai.R us ka rizq barkat se b khali hota hai.Bht se log ameer hain lekin un ko sukoon nahi.kun ke paisa halal tareeqe se nh kamaya gaya .

Agr hm apne maqsad ko Allah ke maqsad ke sath jorr lein - to har qadam sawab ban sakta hai.karobaar mein sachai , rishton mein imaandari yehi kamyabi hai.Halal kamyabi ka matlab Allah se talluq barqarar rakhte howe duniya ke maidaan mein aage barhna hai.

Aisi kamai jis mein kisi ka haq na mara gaya ho , niyyat jis mein riya na ho aur jis mein faisla Allah ke hukam ke mutabiq ho ye asal kamyabi hai.

Social media par fame mil jana lekin gunaah se doori barqarar rakhna.ye mushkil zaroor ha lekin namumkin nahi hai.jab banda apne har faisle mein sochta hai ke " Kya Allah is se khush ho ga?" - yehi asal kamyabi hai. 

Paisa sirf ek zaroorat ha maqsad nahi.Maqsad sirf Raza-e-Ilahi hona chahiye.Jab maqsad Allah ki raza ho to kam amdanai mein bhi sukoon milta ha aur jab maqsad sirf paisa ho to croron hone ke bawajood bhi dil be-sukoon aur be-chain hota hai.Halal kamyabi sirf duniya ki dourr jeetna nahi balke akhirat ke imtahaan mein paas hona b hai.

jab insaan apni kamai ,niyyat aur zindagi ko halal bna leta hai - to us ke liye duniya asaan aur akhirat roshan hoti hai.


Comments

Popular posts from this blog

Halal Tarz-e-Zindagi:Islam Mein Halal Rizq Kamany ke Asal Usool

Duaon Ki Qaboliyat Aur Rizq-e-Halal Kamana

Halal Tarz-e-Zindagi Aur Circumstances