Halal Tijarat: Imaandari Ka Safar Aur Barkat Ka Raaz

Halal Tijarat : Imaandari Ka Safar Aur Barkat Ka Raaz

 Insaan ki zindagi ka ek ehm hissa tijarat b ha.jab se shehr aur bazar bane hen tijarat ka silsila chal raha ha.islam mein tijarat ke liye saaf aur wazeh usool diye gaye hen.imaandari ke sath ki gai tijarat ka husan ubhar kr saamne ata ha.

imaandari ek aisi sift ha jo insaan ko har kaam aur amal mein use kamil bnati ha.jab koi tajir apne gahak ke sath dhoka karta ha.agr wo us maal mein se kch munafa kama leta ha to ye mufana kch din ke liye ho sakta ha .lekin wo tajir apna aitbar ,naam aur izzat hamesha ke liye khatam kr leta ha .phr us par koi aitbar nahi krta aur na koi us se kch leta ya deta ha.

agr koi tajir imaandari ke sath apna karobaar karta ha to log us par aitbaar krte hen. us ka karobar bharta ha.Allah ki taraf se us ke karobar mein barkat parti ha.

     Rasool Allah ﷺ ne farmaya:

" imaandar aur sacha tajir Qayamat ke din Ambiya , Siddiqeen aur Shuhda ke sath ho ga."

Hadees se ye sabit hota ha ke imaandari ke sath ki gai tijarat duniya mein kamyabi ka sabab hi nahi balke akhirat mein b nijaat ka zariya ha.

Aj ke dour mein hm dekhte hen ke log tijarat mein sirf munafa dekhte hen.zayada tol karna ,kharab maal baichna,gahak ko ghalat maal dena ye sab aam ho gaya ha lekin asal kamiyabi us wqt milti ha jab ham imaandari ke sath apni tijarat ko agay barhate hen.tol mein kabi be-imaani nahi karte.

  Agr tajir apne gahak ko sehi maloomat de ke ye maal itne time tak chale ga aur is ki asal qeemat ye ha agr is cheez mein koi nuqs ho to wo pehle hi bta deta ha to phr wo gahak us tajir ke paas bar bar wapis ata ha.is tarah sirf ek gahak hi nh balke poora mouhalla aur shehr ke log us par bharosa karte hen.

islam mein halal aur paak kamai ko bht ehmiyat di gai ha.har wo tijarat jo dhoke ,jhoot aur be-imaan rawaiye par mabni ho.wo Allah ke mazdeek pasandida nahi.

Allah Ta'ala ne Quran mein farmaya:

" Tol aur naap mein kami na karo."

Agr hm tijarat ko sirf paisa kamane ka zariya samjhte hen to ye soch ghalat ha.Tijarat asal mein ek zimadari ha.jb ek tajir imaandari karta ha to wo na sirf apne liye barkat hasil krta ha balke society ko b insaaf aur imaan ka paigham deta ha.

Aj ke globel dour mein b kamyab wohi hen jinhon ne honesty ko apne system ka hissa bnaya ha.barri barri companies ka naam is liye zinda ha kun ke unhon ne apne gahak ka bharosa jeeta ha.isi tarah chhoti dukaan ya local business b imaandari se barh kr mashoor ho sakta ha.

Akhirat ki soch b hmesha zehen mein rakhni chahiye.har wo paisa jo hm dhoke se kamate hen.wo na sirf barkat ko khatam karta ha balke roz e qayamat sawal b ban jata ha.

Comments

Popular posts from this blog

Halal Tarz-e-Zindagi:Islam Mein Halal Rizq Kamany ke Asal Usool

Duaon Ki Qaboliyat Aur Rizq-e-Halal Kamana

Halal Tarz-e-Zindagi Aur Circumstances