Islam Aur Wqt Ka Behtareen Istamal: Kamyabi Ka Raaz

 Islam Air Waqt Ka Behtareen istamal: Kamyabi Ka Raaz

Zindagi ek imtehaan ha har subha jo hamari ankh khulti ha aur din nayi zimmadari ke sath shoru hota ha.Har din Allah ka ek naya moqa hota ha .apni zindagiyon ko behtareen bnane ke liye.

Quran-e-paak mein surah Al-Asar mein Allah Ta'ala farmata ha:

"Wqt ki qasam: insaan nuqsaan mein hai.siwai un logon ke jo imaan laye ,neik amal kiye ,sachai ki talqeen ki aur sabar ki naseehat ki."

ayat se ye sabit hota hai ke waqt ka behtareen istamal hi asal kamyabi ka raaz ha.islam hamein ye dars deta ha ke waqt ka behtareen istamal karo.kun le waqt hi asal zindagi ha.

Nabi kareem ﷺ ne farmaya:

"Do cheezen aisi hen jin men zyada log dhoka khate hen: sehat aur fursat."

Hadees se ye pta chalta ha wqt ko samjhna aur us ka behtareen istamal karna har musalman ke liue zaroori ha.din ka schedule banane se insaan kaam , taleem ,ibadat aur araam sab ko balance kar sakta ha.

subha ka waqt sab se barkat wala hota ha.Fajir ke baad ilm hasil karna ya apne din ke maqsad set karna sab se behtareen amal ha.doupair ka waqt mehnat aur baqi kaamon ke liye hai.maghrib ka waqt ghr , ibadat aur family ke liye hona chahiye.raat ibadat r araam dono ke liye hota ha.

islam kehta ha ke waqt ka behtareen istamal sirf duniya ke kamo mein hi nahi balke ibadat aur rohaani sukoon ke liye b hona chahiye.islam mein waqt ka behtareen istamal itna zaroori ha ke ibadat b waqt ke sath bandhi hoi ha.Namaz ka muqarar waqt , rozey ka waqt , zakat aur hajj ka b waqt hota ha.

in sab se hamein pta chalta ha ke musalman ki zindagi aik khaas tarteeb par inhasaar karti hai.Aj kal log mobile ,social media ya fazool baaton mein zaya kar dete hen.lekin agr hm waqt ka behtareen istamal seekh len to na sirf hm apne kaam mein kamyab hn gy balke apne imaan aur rohaniyat mein b taraqqi karen gy.



Comments

Popular posts from this blog

Halal Tarz-e-Zindagi:Islam Mein Halal Rizq Kamany ke Asal Usool

Duaon Ki Qaboliyat Aur Rizq-e-Halal Kamana

Halal Tarz-e-Zindagi Aur Circumstances