Niyyat Saaf,Rizq Paak - Halal Zindagi Ka Asal Raaz

Niyyat Saaf , Rizq Paak - Halal zindagi ka Asal Raaz

 Kya hm ne kabhi socha hai ke hamari zindagiyon se barket kun kam hoti ja rahi hai?paisa to hai lekin sukoon nahi hai,kaam to chal raha ha lekin dil bechain hai.

Is ka sirf ek hi jawab hai aur wo hai "Halal".         Halal ka sirf ye hi matlab nahi ke hm haram se bach rahe hain balke niyyat, Rizq aur mehnat ke paak hone ka naam b halal hai.

Hm samjhte hain ke halal sirf is cheez ka name hai ke hamari kamai haram na ho.lekin asal mein halal zindagi ka raaz sirf halal kamai mein nahi ha,niyyat mein b chhupa hota hai.

Allah Ta'ala ne Quran mein farmaya:

"A'maal ka daromadaar niyyat par hai." yeni hm jo b kaam karte hain.chahe wo factory mein mehnat ho, dukaan chalana ho ya kch aur to asal ajar is baat par hai ke hm kis niyyat se kar rahe hain.

Agr niyyat saaf ho to chota kaam b barkat wala ban jata hai aur agar niyyat saaf na ho to barre se barre kaam mein b be-sukooni hoti hai.

Momin wo hai jo sirf paise nahi kamata balke apne dil mein ye b soch rakhta hai ke mein jo b kaam kar raha hn wo paise ke liye hai ya mein ye chahta hn ke meri kamai se ghr mein halal rizq aye.kun ke aj ke dour mein log sirf paise ke peeche dour rahe hain bghair halal aur haram ki parwa kiye.

Halal raston se sirf halal rizq ha hasool hi mumkin nahi balke halal iradon se Allah ki khushnudi b hasil hoti hai aur rizq mein barkat hoti hai.Halal soch hi Halal Tarz-e-Zindagi ka bunyadi pehlu hai.

Agr koi insaan imaandari se kaam karta hai to us ke paseene ki har poond Allah ke nazdeek ibadat hai.Halal zindagi ka raaz yehi hai ke niyyat saaf rakhni chahiye,mehnat imaandari se karni chahiye aur sab kch Allah par chor dena chahiye.

is ke liye ek choti si misaal b hai.                                     Ek baker tha jo roti bechta tha.har roz kch rotiyan gareebon ko muft deta tha.                          kisi ne us se kaha,                                                      "tmhara to nuksaan ho jata hai."                               wo muskuraya aur bola,                                             "Jo Allah ke liye diya jaye wo kabhi nuksaan nahi hota."   

Niyyat ka farq yahin zahir ho jata hai.ek insaan sirf paise dekhta hai aur dosra sirf Allah ki raza.  Aj jahan har koi shortcut chah raha hai wahan ek momin ka farz hai ke niyyat aur imaandari ko apni pehchaan bnaye.niyyat saaf ho to har manzil asaan ho jati hai.Jab Allah razi hota hai to choti si kamai b jannat ka rasta khol deti hai.

Halal tarz-e-zindagi sirf zindagi ka ek hissa nahi balke ye zindagi ka maqsad hai.aur is maqsad tak sirf wo log pohnchate hain jin ke dil aur amal dono paak hote hain.

Comments

Popular posts from this blog

Halal Tarz-e-Zindagi:Islam Mein Halal Rizq Kamany ke Asal Usool

Duaon Ki Qaboliyat Aur Rizq-e-Halal Kamana

Halal Tarz-e-Zindagi Aur Circumstances