Sabar Aur Shukr - Zindagi Ka Sukoon

Sabar Aur Shukr  - Zindagi Ka Sukoon

 Duniya mein har shakhs kisi na kisi intizaar mein hai.Kisi ko noukari chahiye, kisi ko sehat aur kisi ko behtareen rishta.lekin aksar hm bechain ho jate hain jab cheezen dair se milti hain.

Insaan kehta hai ke "Allah ye cheez kun nahi de raha?"

Sabr ka matlab sirf intzaar nahi balke Allah ke faisle mein raazi rehna bhi hai.jab insaan kehta hai ke "Ya Allah , jo tu kare ga wo mere liye behtareen ho ga." to us waqt us ka dil sukoon se bhar jata ha.jab Allah hamare sath ho to koi cheez mushkil nahi lagti .bas waqt ane ki dair hoti hai.Ek misaal lete hain -      

 Ayaan name ka ek larka tha.                                     har roz naukri ke liye interview deta.lekin reject ho jata tha.                                                                      logon ne kehna shoru kar diya ke tmhara naseeb kharab hai.                                                                     lekin Ayaan ne kaha,Shayd Allah mere liye behtareen rasta rakhta hai.Teen mahine baad us ko aisi cimpany se call ai.                                            jahan tankhwa b achi thi aur mahoul b islamic tha.ye tha sabr ka meetha phal.

Quran mein Allah Ta'ala ne farmaya:

"Beshak Allab sabr krna wqlon ke sath hai. ( Surah Baqarah 2:153 )

ye sirf ilafaaz nahi balke ye zindagi ka wo sukoon hain jo insaan ko har mushkil mein sambhalta hai.jab sab raste band lagte hain to ye yaqeen dilata hai ke Allah ka likha behtareen ho ga.

Sabr karne wale kamzoor nahi balke wo sab se mazboot hote hain kun ke wo Allah par bharosa karte hain.aur Allah kabhi un ka bharosa nahi torta.hm sab tezi aur beqarari wali zindagi guzaar rahe hain.khane mein jaldi,kamyabi hasil karne mein jaldi aur nateeja ki bhi jaldi.lekin Allah ka sysytem jaldi nahi balke perfect hai.

Agr Allah kisi cheez main dair karta hai to us waqt tmhain behtar bna raha hai.sabr aur shukr ikatha ho jaayein to zindagi noor se bhar jati hai.

jo mil jaye us par shukr krna chahiye aur jo nahi mila us par sabr kr lena chahiye.ye dono mil kar insaan ko sukoon aur barkat dono dete hain.

hmein ye baat b yaad rakhni chahiye ke jab Allah ki taraf se kisi cheez mein dair hoti hai to samajh lo ke wo tmhein behtareen dene ki tayari kar raha hota hai.Bas apni dua,mehnat aur bharosa zinda rakhna chahiye.sabar ka phal dair se milta hai lekin jab milta hai to zindagi badal jati hai.


Comments

Popular posts from this blog

Halal Tarz-e-Zindagi:Islam Mein Halal Rizq Kamany ke Asal Usool

Duaon Ki Qaboliyat Aur Rizq-e-Halal Kamana

Halal Tarz-e-Zindagi Aur Circumstances