Sehatmand Zindagi Aur Islam Ki Taleemat
Sehatmand Zindagi Aur Islam Ki Taleemat
Insaan ki zindagi Allah Ta'ala ki bht barri ni'mat ha.islam sirf rohaniyat aur ibadat ka deen nh balke insaan ki roz mara ki zindagi ,sehat ki hifazat ka b deen ha.
islam mein sehat aur safai ki ehmiyat bht bar byaan ki gai ha.
Nabi Kareem (S.A) ne farmaya:
"Safai imaan ka adha hissa ha."
is se hamein ye dars milta ha ke sehatmand aur saaf suthri zindagi ikhlaqi aur rohani tour par zaroori ha.sehatmand zindagi Allah ki rehmat aur ibadat mein asaani ka zariya ha.agr insaan sehatmand ho to wo behtareen tour par ibadat kar sakta ha .apne ghr walon ki khidmat b kr sakta ha.
- Sehat Aur Ghiza ka taluq
sehat ka bht barra taluq ghiza se ha.Quran aur Hadees mein halal aur paak ghiza par zor diya gya ha.Haram aur najaiz cheezen insaan ke jisam aur rooh dono ko nuqsaan pohnchati hen.
Quran mein ayat ha:
"khao aur pio magar hadd se na barho."
yeni islam hemein hadd se zyada khane aur zyada kharch krne se bachne ka sabq deta ha.aj ke dour mein fast food aur over-eating sehat ko nuqan pohnchate hen.
- warzish Aur Sehat
Sehatmand zindagi ke liye warzish aik ehm hissa ha.Nabi kareem (S.A) ne sahaba ko tawanai aur quwat ke liye warish krne ki targheeb di.
Rasool (S.A) ne farmaya:
"Taqatwar momin kamzor momin se behtr aur Allah ke nazdeek zayada mehboob ha aur dono mein khair ha." (sehi muslim : 2664)
yahan taaqat se muraad jismani b ha aur imaani b.islam sirf ibadat par nh balke taaqat,sehat aur warzish par b zor deta ha ta ke musalman jismani aur rohaani dono aitbar se mazboot ho.
- Neend Aur Araam
Sehatmand zindagi ka ek r ehm pehlu b ha neend aur araam.islam mein raaton ko be-ja zaya krna,dair tak jagna aur apni sehat ko khatam kr lena pasandida amal nahi.Nabi Kareem (S.A) ne wqt par sona,uthna aur din ko acha bnane ki talqeen ki ha.subha jaldi uthna na sirf sehat ke liye acha ha balke rozgaar aur ibadat ke liye b mufeed ha.
- Rohaani Sehat
Sehat sirf jisam hi ki nh balke dil aur rooh ki b hoti ha.Namaz , roza ,Quran ki tilawat zikar insaan ko rohani tour par sehatmand bnate hen.Rohani sehat ka asar jisam par b nazar ata ha.Ek sukoon aur tassali bhara dil,sehatmand zindagi ka asli raaz ha.
Nateeja
Islam ek mukammal zabta e hayat ha jo hamein sehatmand ,saaf suthra aur mutwazan zindagi gizarne ka treeqa sikhata ha.agr hm islam ki taleemat par amal kre to na sirf apne jisam ki sehat ki hifazat kr sakte hen balke apni rooh ko b sukoon aur tassali de sakta ha.
Comments
Post a Comment