Shukr Aur Barkat - Jab Dil Mein Shukr Ho To Zindagi Mein Sukoon Hota Hai

Shukr Aur Barkat - Jab Dil Mein Shukr Ho To Zindagi Mein Sukoon Hota Hai

Har Insaan apni zindagi mein kisi na kisi ni'mat ka talib hota hai. Koi paise ki talash mein hai, koi sukoon ki , aur koi muhabbat ki. Leikn hm bhool jate hain ke barkat ka asal raaz shukr mein hai.

Shukr sirf Alhamdulillah kehne ka naam nahi , balke ek soch, ek andaaz e zindagi hai.

Quran mein Allah Ta'ala farmata hai:

"Agr tm shukr ada kroge to mein tumhain aur zayada doon ga." ( Surah Ibrahim : 7)

ye ayat sirf ek wada nahi , balke zindagi ka ek usool hai. Jab banda Allah Ta'ala ka shukr ada karta hai to na sirf us ke rizq mein izafa hota hai, balke us ka dil sukoon se bhar jata hai.

Jis dil mein shukr hota hai, us dil mein kabhi kami nahi hoti.jab banda har choti ni'mat ko Allah ki rehmat samajh kar qadar karta hai, to Allah us par apni barkatein aur barhata hai.

Aksar hm un cheezon ka gham karte hain jo abhi tak hamein nahi mili. lekin jo Allah ne diya howa hai us par hamari nazar nahi jati. yehi wajah hai ke hm barkat se mehroom rehte hain.

Jo log choti choti cheezon ke liye shukr ada karte hain - Subha ki roshni, sehat, ghr walon ki muskurahat - un ki zindagi mein sukoon apne ap ata hai. Shukr ada krne se insaan ki nazar musibat se hat kar rehmat par a jati hai.

Barkat ek ehsaas hai. Kabhi waqt mein hoti hai, kabhi mohabbat mein ,aur kabhi sehat mein.

Akhirat ka safar bhi unhi logon ke liye asaan hota hai. Jo apni zindagi mein shukr ada karte hain - chahe kisi bhi haal mein hn. Kunke shukr ada karne wala banda kabhi akela nahi hota. Us ke sath hamesha Allah ki rehmat hoti hai.

Jab banda sabar karna seekh jata hai. uske liye har haal mein sukoon hota hai. Chahe zindagi asaan ho ya mushkil.Barkat sirf paise mein nahi hoti, sehat mein aur rishton mein b barkat hoti hai. kabhi kabhi kam paisa zayada kaam de jata hai.


Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:

"Jo logon ka shukr ada nahi karta, wo Allah ka shukr bhi nahi karta. (Tirmidhi)

Shukr ka taluq Allah Ta'ala ke sath sath insaano se bhi hai. Jab hm apne aas paas ke logon ki qadar kartr hain. To zindagi khud be-barkat hone se bach jati hai.

Shukr barkat ka darwaza hai. jo insaan dil mein shukriya rakhta hai , Allah Ta'ala us ke liye har din nayi rehmat likhta hai, aur zindagi utni mushkil nahi hoti jitni hm soch lete hain. Sirf nazriya badalne ki dair hoti hai.

Comments

Popular posts from this blog

Halal Tarz-e-Zindagi:Islam Mein Halal Rizq Kamany ke Asal Usool

Duaon Ki Qaboliyat Aur Rizq-e-Halal Kamana

Halal Tarz-e-Zindagi Aur Circumstances