Shukriya Har Haal Mein - Zindagi Ki Asal Khushi

Shukriya Har Haal Mein - Zindagi Ki Asal Khushi

 Zindagi utaar charhao ka ek safar hai.is mein kabhi khushi milti hai aur kabhi gham.kabhi zindagi asaan lagti hai aur kabhi bht hi mushkil.lekin har haal mein shukr ada krna bht zaroori hai.

Quran mein Allah Ta'ala ne farmaya:

"Agr tm shukr ada karo ge to mein tmhein aur zayada doon ga." (Surah Ibrahim : 7)

Shukr ada krne se na sirf hamari naimaten bharti hain balke hamari zindagi mein rohaani sukoon bhi bharta hai.

Shukr Sirf Zubaan ka lafz nahi balke dil ka sukoon b hai.jo insaan har halat mein Allah ka shukr ada karta hai.us ki zindagi mein barkat aur sukoon a jata hai.
Zindagi hamesha asaan nahi hoti.kabhi sehat kharab ho jati hai aur kabhi kaam ruk jata hai.lekin jab insaan mushkil waqt mein bhi Allah ka shukr ada karta hai to Allah us ke liye nayi raahein khoul deta hai.

jab zindagi asaan lagti hai aur har dua qubool hoti hai to shukr ada karna asaan hota hai.Asal imtehaan to tab hota hai jab mushkilein parti hain.shukr ada karne wale har haal mein musbat rehte hain.un ke chehre par hamesha khushi hoti hai.sabr ka daman kabhi hath se nahi chorte.un ka yaqeen hota hai ke Allah ne jo bhi diya hai behtareen diya hai.

Shukr karne ka matlb ye nahi ke hm gham mehsoos na karen.belke us gham mein bhi Allah par bharosa rakhein.jab banda kehta hai ke Ya Allah muje pta hai ke is mein bhi tu ne mere liye koi bhalai rakhi hai to wo sab se barra shukr guzaar banda hota hai.

Rasool Allah ﷺ ne farmaya:
"Momin ki har haal mein bhalai hai,agr use khushi milti hai to shukr karta hai,aur agr museebat milti hai to sabr karta hai - dono haal mein us ke liye ajar hai." (Muslim)

Sabr aur shukr ek dosre ke saathi hain.jab sabr hota hai to shukr ata hai aur jab shukr hota hai to sabr asaan lagta hai.sabr aur shukr do aise noor hain hain jo zindagi ke har morr par insaan ko mazboot bnate hain.
ek momin har halat mein faide mein rehta hai.momin gham mein b sukoon mehsoos karta hai .kun ke use yaqeen hota hai ke Allah us ke sath hai.

Sabr ka phal hamesha meetha hota hai.jab insaan sabr aur shukr dono ko samajh leta hai to us ke dil se gila shikwa khatam ho jata hai.aur mushkil mein bhi asaani milti hai.

Har din,har saans ek nayi naimat hai.agr hm choti choti cheezon par shukr ada krna seekh jaayein ge jese sehat , ghar , rozi to zindagi apne aap khoobsurat lagne lag jati hai.
har haal mein shukriya ada krne wale log kabhi akele nahi rehte.kun ke Allah un ke sath hota hai.yehi zindagi ka asal sukoon aur imaan ka asal rang hai.


Comments

Popular posts from this blog

Halal Tarz-e-Zindagi:Islam Mein Halal Rizq Kamany ke Asal Usool

Duaon Ki Qaboliyat Aur Rizq-e-Halal Kamana

Halal Tarz-e-Zindagi Aur Circumstances