Tawakkul - Jab Allah Par Bharosa Rizq Bana Deta HaiY

Tawakkul - Jab Allah Par Bharosa Rizq Bana Deta Hai

Duniya mein har insaan rizq ke liye koshish karta hai.Koi factory mein kaam karta hai aur koi dukaam chalata hai.lekin Kai dafa hm mehnat to karte hain lekin dil bechain hota hai ,kuon? kun ke hm mehnat to karte hain lekin bhrosa Allah par poora nahi hota.

Tawakkul ka matlab hai ke apni bhar poor koshish karna aur nateeja Allah ke hawale kar dena.ue sirf lafzon ka bhaeosa nahi balke dil se yaqeen ka naam b hai.jab banda apni pori koshish kare aur phr kahe ke " Ab Jo Allah Chahe wo behtareen ho ga." to yehi asal tawakkul hai.

Quran mein Allah Ta'ala ne farmaya:

"Aur jo Allah par bharosa kare,Allah us ke liye kaafi hai." (Surah Al-Talaaq  65:3  )

ye ayat sirf tasalli nahi balke zindagi ka sab se barra wada hai.jab banda Allah par bharosa karta hai to Allah us ke liye wo raste b khol deta hai jin ka kabhi us ne ghumaan bhi na kiya ho.     Ek choti si misaal bhi hai ke;                                     Noman naam ka ek dukaandar tha.                         usne ek din dekha ke us ki bikri bilkul nahi ho rahi.                                                                              us ke dost ne kaha ke, "Kismat kahab hai."             Noman Muskuraya aur bola: " kismat kharab nahi , Allah ka imtehaan hai."                                    Agle din aisa gahak aya jo poore saal ka maal khareed kar le gaya.

ye Noman ke Allah par tawakkul ka asar tha.jab banda Allah par bharosa karta hai to rizq khud chal kar ata hai.tawakkul ke bghair mehnat adhoori hai.agr hm sirf apni planning aur mehnat par bharosa karte hain to hm Allah ke system ko bhool jate hain.aur jab banda Allahko bhoolta hai to rizq ruk jata hai.

Aj ke dour mein log smjhte hain ke sirf mehnat se sab kch mil jata hai.mehnat b zaroori hai lekin Allah pat tawakkul bht zaroori hai.

Tawakkul ka matlab ye nahi ke insaan kch na kare.balke apni poori koshish kare aur koshish ke sath sath Allah par poora yaqeen rakhe.aurAllah ke hukam par razi ho jaye.agr cheez mil jaye to shukr aur agr na mile to sabar karna chahiye.

 in dono ka milaap sabar aur tawakkul insaan ko kamyab bnata hai.jo log Allah par yaqeen rakhte hain,un ka dil hamesha sukoon mein rehta hai.unhem logon se umeed nahi hoti balke sirf apne Allah se umeed hoti hai.Aur jab Allah par bharosa hota hai to duniya ki koi cheez un ka rizw nahi rok sakti.

Twakkul zindagi ka wo noor hai jo andhere mein b rasta dekhata hai.jab hm Allah par bharosa karna seekh jatr hain to zindagi bht asaan ho jati hai.

Comments

Popular posts from this blog

Halal Tarz-e-Zindagi:Islam Mein Halal Rizq Kamany ke Asal Usool

Duaon Ki Qaboliyat Aur Rizq-e-Halal Kamana

Halal Tarz-e-Zindagi Aur Circumstances