Islam Aur Ilm Ki Ahmiyat
Islam Aur Ilm Ki Ahmiyat Islam ek mukammal zabta e hayat hai.Jo insaan ko kamyabi aur hidayat ka rasta dikhata ha. ilm hasil karna har musalman ka bunyadi haq hai aur insaan mein shahoor paida krta hai. shahoor se hi insaan ko halal aur haram mein farq maloom hota hai.agr insaan ke paas ilm na ho to wo sehi aur ghalat ki kabhi pehchan nahi kr sakta. Quran ki pehli wahi mein b ilm hasil krne ka hi peigham milta ha. jab Hazrat Jibrail A.S. ne ghar e hira mein nazil ho kr Rasool Allah ﷺ ko pehli wahi sunai thi to pehla lafz hi tha " parho". is lafz se ye sabit hota ha ke ilm hi ha jo hamein jahalat kr andheron se nikal kr roshni deta.ilm insaan ko sochane smajhne ki silahiyat deta hai aur ek behtareen insaan bnata ha. Ilm Ki Fazilat Aur Hadees ilm hasil krna sirf kisi khaas tabqay par farz nahi kiya gya balke har mard aur aurat ke liye ilm hasil karna zaroori qarar diya gya hai. Nabi kareem ﷺ ne farmaya: "ilm hasil karna har musalman mard aur aurat par farz hai." (Ibn...