Shukr Aur Barkat - Jab Dil Mein Shukr Ho To Zindagi Mein Sukoon Hota Hai

Shukr Aur Barkat - Jab Dil Mein Shukr Ho To Zindagi Mein Sukoon Hota Hai Har Insaan apni zindagi mein kisi na kisi ni'mat ka talib hota hai. Koi paise ki talash mein hai, koi sukoon ki , aur koi muhabbat ki. Leikn hm bhool jate hain ke barkat ka asal raaz shukr mein hai. Shukr sirf Alhamdulillah kehne ka naam nahi , balke ek soch, ek andaaz e zindagi hai. Quran mein Allah Ta'ala farmata hai: " Agr tm shukr ada kroge to mein tumhain aur zayada doon ga." ( Surah Ibrahim : 7) ye ayat sirf ek wada nahi , balke zindagi ka ek usool hai. Jab banda Allah Ta'ala ka shukr ada karta hai to na sirf us ke rizq mein izafa hota hai, balke us ka dil sukoon se bhar jata hai. Jis dil mein shukr hota hai, us dil mein kabhi kami nahi hoti.jab banda har choti ni'mat ko Allah ki rehmat samajh kar qadar karta hai, to Allah us par apni barkatein aur barhata hai. Aksar hm un cheezon ka gham karte hain jo abhi tak hamein nahi mili. lekin jo Allah ne diya howa hai us par hamari nazar na...