Posts

Showing posts from October, 2025

Shukr Aur Barkat - Jab Dil Mein Shukr Ho To Zindagi Mein Sukoon Hota Hai

Image
Shukr Aur Barkat - Jab Dil Mein Shukr Ho To Zindagi Mein Sukoon Hota Hai Har Insaan apni zindagi mein kisi na kisi ni'mat ka talib hota hai. Koi paise ki talash mein hai, koi sukoon ki , aur koi muhabbat ki. Leikn hm bhool jate hain ke barkat ka asal raaz shukr mein hai. Shukr sirf Alhamdulillah kehne ka naam nahi , balke ek soch, ek andaaz e zindagi hai. Quran mein Allah Ta'ala farmata hai: " Agr tm shukr ada kroge to mein tumhain aur zayada doon ga." ( Surah Ibrahim : 7) ye ayat sirf ek wada nahi , balke zindagi ka ek usool hai. Jab banda Allah Ta'ala ka shukr ada karta hai to na sirf us ke rizq mein izafa hota hai, balke us ka dil sukoon se bhar jata hai. Jis dil mein shukr hota hai, us dil mein kabhi kami nahi hoti.jab banda har choti ni'mat ko Allah ki rehmat samajh kar qadar karta hai, to Allah us par apni barkatein aur barhata hai. Aksar hm un cheezon ka gham karte hain jo abhi tak hamein nahi mili. lekin jo Allah ne diya howa hai us par hamari nazar na...

Dua Aur Intizaar - Jab Khuda Tumhari khamoshi Ko Sun Raha Ho

Image
  Dua Aur Intizaar - Jab Khuda Tumhari Khamoshi Ko Sun Raha Ho Kabhi Kabhi aisa lagta hai ke ap roz dua karte hain lekin jawab nahi ata .aur dil thak sa jata hai,soch ye hoti hai ke shayad Allah ne meri dua nahi suni.lekin sach ye hai ke Allah har dua sunta hai.bas us ka waqt hamare waqt se behtareen hota hai. Zindagi ke safar mein har koi kisi na kisi dua ke intizaar mein hota hai.kisi ko ghar chahiye , kisi ko noukari aur kisi ko sukoon.har dua ke peeche ek kahani hoti hai , ek umeed hoti hai aur ek imtehaan bhi hota hai.dua sirf lafzon ka amal nahi balke imaan ka safar bhi hai. jis mein sabse khoobsurat hissa intizaar ka hai. Quran mein Allah Ta'ala farmata hai: " Aur tumhara Rabb kehta hai , mujhe pukaaro , mein tumhari dua qabool karn ga." (Surah Ghafir : 60) ye ayat hamein yaqeen dilati hai ke dua kabhi zaya nahi hoti balke sab se barri baat ye hai ke Allah kabhi dua ko radd nahi karta .hamara Rabb ya to dua ko waqt par qabool kar leta hai.ya usse behtareen waqt ke ...

Shukriya Har Haal Mein - Zindagi Ki Asal Khushi

Image
Shukriya Har Haal Mein - Zindagi Ki Asal Khushi  Zindagi utaar charhao ka ek safar hai.is mein kabhi khushi milti hai aur kabhi gham.kabhi zindagi asaan lagti hai aur kabhi bht hi mushkil.lekin har haal mein shukr ada krna bht zaroori hai. Quran mein Allah Ta'ala ne farmaya: " Agr tm shukr ada karo ge to mein tmhein aur zayada doon ga." (Surah Ibrahim : 7) Shukr ada krne se na sirf hamari naimaten bharti hain balke hamari zindagi mein rohaani sukoon bhi bharta hai. Shukr Sirf Zubaan ka lafz nahi balke dil ka sukoon b hai.jo insaan har halat mein Allah ka shukr ada karta hai.us ki zindagi mein barkat aur sukoon a jata hai. Zindagi hamesha asaan nahi hoti.kabhi sehat kharab ho jati hai aur kabhi kaam ruk jata hai.lekin jab insaan mushkil waqt mein bhi Allah ka shukr ada karta hai to Allah us ke liye nayi raahein khoul deta hai. jab zindagi asaan lagti hai aur har dua qubool hoti hai to shukr ada karna asaan hota hai.Asal imtehaan to tab hota hai jab mushkilein parti hain.sh...

Sabar Aur Shukr - Zindagi Ka Sukoon

Sabar Aur Shukr  - Zindagi Ka Sukoon  Duniya mein har shakhs kisi na kisi intizaar mein hai.Kisi ko noukari chahiye, kisi ko sehat aur kisi ko behtareen rishta.lekin aksar hm bechain ho jate hain jab cheezen dair se milti hain. Insaan kehta hai ke " Allah ye cheez kun nahi de raha?" Sabr ka matlab sirf intzaar nahi balke Allah ke faisle mein raazi rehna bhi hai.jab insaan kehta hai ke " Ya Allah , jo tu kare ga wo mere liye behtareen ho ga ." to us waqt us ka dil sukoon se bhar jata ha.jab Allah hamare sath ho to koi cheez mushkil nahi lagti .bas waqt ane ki dair hoti hai.Ek misaal lete hain -        Ayaan name ka ek larka tha.                                     har roz naukri ke liye interview deta.lekin reject ho jata tha.                                      ...

Tawakkul - Jab Allah Par Bharosa Rizq Bana Deta HaiY

Tawakkul - Jab Allah Par Bharosa Rizq Bana Deta Hai Duniya mein har insaan rizq ke liye koshish karta hai.Koi factory mein kaam karta hai aur koi dukaam chalata hai.lekin Kai dafa hm mehnat to karte hain lekin dil bechain hota hai ,kuon? kun ke hm mehnat to karte hain lekin bhrosa Allah par poora nahi hota. Tawakkul ka matlab hai ke apni bhar poor koshish karna aur nateeja Allah ke hawale kar dena.ue sirf lafzon ka bhaeosa nahi balke dil se yaqeen ka naam b hai.jab banda apni pori koshish kare aur phr kahe ke " Ab Jo Allah Chahe wo behtareen ho ga. " to yehi asal tawakkul hai. Quran mein Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur jo Allah par bharosa kare,Allah us ke liye kaafi hai." (Surah Al-Talaaq  65:3  ) ye ayat sirf tasalli nahi balke zindagi ka sab se barra wada hai.jab banda Allah par bharosa karta hai to Allah us ke liye wo raste b khol deta hai jin ka kabhi us ne ghumaan bhi na kiya ho.     Ek choti si misaal bhi hai ke;            ...

Niyyat Saaf,Rizq Paak - Halal Zindagi Ka Asal Raaz

Niyyat Saaf , Rizq Paak - Halal zindagi ka Asal Raaz  Kya hm ne kabhi socha hai ke hamari zindagiyon se barket kun kam hoti ja rahi hai?paisa to hai lekin sukoon nahi hai,kaam to chal raha ha lekin dil bechain hai. Is ka sirf ek hi jawab hai aur wo hai " Halal ".         Halal ka sirf ye hi matlab nahi ke hm haram se bach rahe hain balke niyyat, Rizq aur mehnat ke paak hone ka naam b halal hai. Hm samjhte hain ke halal sirf is cheez ka name hai ke hamari kamai haram na ho.lekin asal mein halal zindagi ka raaz sirf halal kamai mein nahi ha,niyyat mein b chhupa hota hai. Allah Ta'ala ne Quran mein farmaya: " A'maal ka daromadaar niyyat par hai." yeni hm jo b kaam karte hain.chahe wo factory mein mehnat ho, dukaan chalana ho ya kch aur to asal ajar is baat par hai ke hm kis niyyat se kar rahe hain. Agr niyyat saaf ho to chota kaam b barkat wala ban jata hai aur agar niyyat saaf na ho to barre se barre kaam mein b be-sukooni hoti hai. Momin wo hai jo sirf paise...

Halal Amanat - Jab Koi Na Dekhe Tab Bhi Allah Dekh Raha Hai

  Halal Amanat - Jab Koi Na Dekhe Tab Bhi Allah Dekh Raha Hai Sochiye... Agr ap ko raste mein se paise milen aur koi na dekhe - to ap kya karo ge?                      Sawal chhota ha lekin is mein insaaniyat aur imaandari dono ka imtehaan chupa hai.Aj kal har koi faida dekh kar amal karta hai.Sachai aur halal soch bht kam ho gai hai.Ab log kehte hen ke zamana badal gaya hai.                                          Insaan khud badal rahe hen aur kehte hen ke zamana badal gaya hai.pehle log Allah ke khauf se jhoot nahi bolte the.kisi ka haq nahi marte the.Aj hm log har choti cheez mein faida dekhte hen - chahe us se kisi ko kitna hi nuqsaan kun na ho. jab banda har choti choti cheezon mein Allah ka khauf rakhta ha to Allah us ke har kaam mein barkat dalta hai.Halal zindagi ka pehla qadam amanat aur imaandari se shoru hota ha...

Halal Kamyabi - Jab Maqsad Sirf Paisa Nahi Raza-e-Ilahi ho

  Halal Kamyabi -Jab Maqsad Sirf Paisa Nahi Raza-e-Ilahi ho Aj ke dour mein insaan kamai aur kamyabi ko sirf paison se tolte hain.jis ke paas barra ghr , ghaari aur social media par dikhawa ho use kamyab samjha jata hai.Halal kamyabi ka matalb sirf ye nahi ke ap duniya chor kar baith jaen .balke ap duniya mein reh kar bhi deen ke usoolon par amal karen. Asal kamyabi Allah ki raza aur rohaani sukoon hai.Allah ki raza mein raazi rehte howe karobar karna , mehnat karna aur har qadam par halal aur hatam ka farq b samajhna chahiye. Hamare pyare Nabi Kareem ﷺ ne farmaya: " Halal Rizq talash karna bhi ibadat hai." yahan hamein ye btaya ja raha hai ke halal tareeqe se mahnat krne se sirf hm paisa hi nahi kamate balke sawab bhi kama rahe hote hain. Halal kamyabi ka ek pehlu niyyat se b jurra hai.Niyyat achi ho to choti si mehnat b barkat wali ban jati hai.agr niyyat sirf dikhawe ya lalach ki ho to sab kch hote howe b insaan andar se khud ko khali mehsoos karta hai.R us ka rizq barkat ...

Islam Aur Wqt Ka Behtareen Istamal: Kamyabi Ka Raaz

  Islam Air Waqt Ka Behtareen istamal: Kamyabi Ka Raaz Zindagi ek imtehaan ha har subha jo hamari ankh khulti ha aur din nayi zimmadari ke sath shoru hota ha.Har din Allah ka ek naya moqa hota ha .apni zindagiyon ko behtareen bnane ke liye. Quran-e-paak mein surah Al-Asar mein Allah Ta'ala farmata ha: "Wqt ki qasam: insaan nuqsaan mein hai.siwai un logon ke jo imaan laye ,neik amal kiye ,sachai ki talqeen ki aur sabar ki naseehat ki." ayat se ye sabit hota hai ke waqt ka behtareen istamal hi asal kamyabi ka raaz ha.islam hamein ye dars deta ha ke waqt ka behtareen istamal karo.kun le waqt hi asal zindagi ha. Nabi kareem ﷺ ne farmaya: " Do cheezen aisi hen jin men zyada log dhoka khate hen: sehat aur fursat." Hadees se ye pta chalta ha wqt ko samjhna aur us ka behtareen istamal karna har musalman ke liue zaroori ha.din ka schedule banane se insaan kaam , taleem ,ibadat aur araam sab ko balance kar sakta ha. subha ka waqt sab se barkat wala hota ha.Fajir ke baad i...

Sehatmand Zindagi Aur Islam Ki Taleemat

Sehatmand Zindagi Aur Islam Ki Taleemat  Insaan ki zindagi Allah Ta'ala ki bht barri ni'mat ha.islam sirf rohaniyat aur ibadat ka deen nh balke insaan ki roz mara ki zindagi ,sehat ki hifazat ka b deen ha. islam mein sehat aur safai ki ehmiyat bht bar byaan ki gai ha. Nabi Kareem (S.A) ne farmaya: " Safai imaan ka adha hissa ha ." is se hamein ye dars milta ha ke sehatmand aur saaf suthri zindagi ikhlaqi aur rohani tour par zaroori ha.sehatmand zindagi Allah ki rehmat aur ibadat mein asaani ka zariya ha.agr insaan sehatmand ho to wo behtareen tour par ibadat kar sakta ha .apne ghr walon ki khidmat b kr sakta ha. Sehat Aur Ghiza ka taluq sehat ka bht barra taluq ghiza se ha.Quran aur Hadees mein halal aur paak ghiza par zor diya gya ha.Haram aur najaiz cheezen insaan ke jisam aur rooh dono ko nuqsaan pohnchati hen. Quran mein ayat ha: "khao aur pio magar hadd se na barho ." yeni islam hemein hadd se zyada khane aur zyada kharch krne se bachne ka sabq deta ha....

Halal Tijarat: Imaandari Ka Safar Aur Barkat Ka Raaz

Halal Tijarat : Imaandari Ka Safar Aur Barkat Ka Raaz  Insaan ki zindagi ka ek ehm hissa tijarat b ha.jab se shehr aur bazar bane hen tijarat ka silsila chal raha ha.islam mein tijarat ke liye saaf aur wazeh usool diye gaye hen.imaandari ke sath ki gai tijarat ka husan ubhar kr saamne ata ha. imaandari ek aisi sift ha jo insaan ko har kaam aur amal mein use kamil bnati ha.jab koi tajir apne gahak ke sath dhoka karta ha.agr wo us maal mein se kch munafa kama leta ha to ye mufana kch din ke liye ho sakta ha .lekin wo tajir apna aitbar ,naam aur izzat hamesha ke liye khatam kr leta ha .phr us par koi aitbar nahi krta aur na koi us se kch leta ya deta ha. agr koi tajir imaandari ke sath apna karobaar karta ha to log us par aitbaar krte hen. us ka karobar bharta ha.Allah ki taraf se us ke karobar mein barkat parti ha.      Rasool Allah ﷺ ne farmaya: " imaandar aur sacha tajir Qayamat ke din Ambiya , Siddiqeen aur Shuhda ke sath ho ga." Hadees se ye sabit hota ha ke i...